Islamic Quotes in Urdu
Dear readers this phase of post is compiled with best Islamic quotes in Urdu for you. The collection of these Islamic quotes will you to understand the self believe and hard work.
وہ جنت جس میں اپنے علاوہ کوئی
نہ ہو دوزخ سے بھی بری ہے
Woh jannat jis mein apne ilawa
koi na ho dozakh se bhi buri hai
زندگی تب سے بہت آسان ہو گئی جب سے
میں نے سمجھ لیا کہ لوگ لوگ ہوتے ہیں
لوگوں کو لوگ مل ہی جاتے ہیں نہ کوئی
کسی کا انتظار کرتا ہے اور نہ کوئی کسی
کے نہ ہونے سے مرتا ہے ویسے بھی لوگوں
کی مثال ان پرندوں جیسی ہے جو شجر کو
سوکھتا دیکھ کر کہیں اور آشیانہ بنا لیتے ہیں
Zindagi tab se bohat aasan ho gayi
jab se maine samajh liya ke log log
hote hain, logon ko log mil hi jate hain.
Na koi kisi ka intezar karta hai aur na
koi kisi ke na hone se marta hai.
Waise bhi logon ki misaal un parindon
jaisi hai jo shajar ko sookhta dekh
kar kahin aur aashiyana bana lete
hain
اگر زندگی سکون میں نہیں اور غریبی کے
باوجود خدا پر یقین کی دولت حاصل نہیں
ہوتی تو وہ غریبی عذاب ہے
Agar zindagi sakoon mein nahin
aur gareebi ke bawajood Khuda
par yaqeen ki daulat hasil nahin
hoti to woh gareebi azaab hai
طاقتور انسان کمزور انسانوں
کی ہی مدد سے بنتا ہے
Taqatwar insaan kamzor insanon
ki hi madad se banta hai
Islamic Quotes in Urdu
زخم وہی ہے جو چھپا لیا جائے جو بتا
دیا جائے وہ زخم نہیں رہتا اس لیے اپنے
زخم چھپاؤ لوگ آپ کے زخموں پر نمک
چھڑکتے ہیں اور خوش ہوتے ہیں مگر
مرہم کوئی نہیں لگاتا
Zakhm wohi hai jo chhupa liya jaye
jo bata diya jaye woh zakhm nahin
rehta Is liye apne zakhm chhupao,
log aap ke zakhmon par namak
chhidakte hain aur khush hote hain
magar marham koi nahin lagata
خالق کا ہر عمل خالق ہی کی طرح
محترم ہے عزت والا ہے
Khaliq ka har amal khaliq hi ki
tarah mohtaram hai, izzat wala hai
محبت میں پابندیاں نہیں لگائی جاتی
بلکہ آزادی دی جاتی ہے اور پھر جو
شخص آزادی کے بعد بھی صرف تمہارا
ہو محبت اسے کہتے ہیں
Mohabbat mein pabandiyan nahin
lagayi jati balkay azaadi di jati hai
aur phir jo shakhs azaadi ke baad
bhi sirf tumhara ho, mohabbat usay
kehte hain
رنگین باتیں کر کے معصوم زندگی
سیاہ کرنے کا ہنر نہ جانے کہاں سے
آتا ہے لوگوں میں
Rangeen baatein kar ke masoom
zindagi siyah karne ka hunar na
jaane kahan se aata hai logon mein
بدلتے موسم ہمارے رب کی طرف سے
اشارہ ہوتے ہیں کہ اگر آج پریشانی کے
دن ہیں تو خوشی کے دن بھی آئیں گے
ہم نے تو بس صبر کرنا ہے اور اپنے رب کی
حکمت کو دیکھنا ہے اور آپ کا رب انہیں
وسیلہ بنا دے گا جو رکاوٹ بن گیا تھا
Badalte mausam hamare Rab ki
taraf se ishaara hote hain ke agar
aaj pareshani ke din hain to khushi
ke din bhi aayenge. Humne to bas
sabr karna hai aur apne Rab ki
hikmat ko dekhna hai aur aap ka
Rab unhe waseela bana dega jo
rukawat ban gaya tha
کچھ لوگ تو آپ سے نفرت صرف
اس لیے کرتے ہیں کیونکہ بہت سارے
لوگ آپ سے پیار جو کرتے ہیں
Kuch log to aap se nafrat sirf is
liye karte hain ke bohot sare log
aap se pyaar jo karte hain
Islamic Quotes in
مجھے نہیں معلوم میرے مسائل میرے
خدشات کا حل کیسے نکلے گا لیکن مجھے
ایک بات معلوم ہے کہ مجھے اپنے رب پر
یقین رکھنا ہے پھر مجھے وہ ہر اس چیز
سے نواز دے گا جس کی مجھے خواہش ہے
کیونکہ معجزے تو یقین والوں کے لیے ہی
ہوتے ہیں
Mujhe nahin maloom mere masail
mere khadshaat ka hal kaise nikle
ga lekin mujhe ek baat maloom hai ke
mujhe apne Rab par yaqeen rakhna hai
phir mujhe woh har us cheez se nawaz
dega jis ki mujhe khwahish hai kyunki
mu’jze to yaqeen walon ke liye hi hote
hain
کبھی کبھی ایسا بھی ہوتا ہے کہ جو دعائیں
ہم یہ سوچ کر مانگنا چھوڑ دیتے ہیں کہ یہ
تو ممکن نہیں یہ ہمیں کیسے مل سکتا ہے
اللہ وہی دعائیں قبول کر کے ہمیں احساس
دلاتا ہے کہ دیکھ میرے بندے میرے لیے کچھ
بھی ناممکن نہیں
Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ke jo
duayein hum yeh soch kar mangna
chhod dete hain ke yeh to mumkin
nahin, yeh humein kaise mil sakta hai
Allah wohi duayein qabool kar ke
humein ehsaas dilata hai ke dekh
mere bande, mere liye kuch bhi na
mumkin nahin
جس سکون کی تلاش میں تم اوروں کے پیچھے
بھاگ رہے ہو وہ سکون تمہاری اپنی ذات میں
اللہ نے چھپا رکھا ہے تمہیں تمہارے سوا کوئی
مکمل نہیں کر سکتا تم خود اپنی ذات کی تکمیل
ہو اور جس روز تم خود کو ڈھونڈ لو گے اس
روز تمہیں اللہ مل جائے گا
Jis sakoon ki talaash mein tum auron
ke peechay bhaag rahe ho woh sakoon tumhari apni zaat mein Allah ne chhupa
rakha hai. Tumhein tumhare siwa koi mukammal nahin kar sakta. Tum khud
apni zaat ki takmeel ho aur jis roz tum
khud ko dhoond loge, us roz tumhein
Allah mil jayega
اگر دنیا کو فتح کرنا چاہتے ہو تو اپنا
لہجہ نرم رکھو کیونکہ لہجے کا اثر تلوار
سے بھی زیادہ ہوتا ہے
Agar duniya ko fatah karna chahte ho
to apna lehja naram rakho kyunki lehjay
ka asar talwar se bhi zyada hota hai
Islamic Quotes in Urdu
جب تک کوشش کی محرومیاں سمجھ
میں نہ آئیں نصیب کو نہیں سمجھا جا
سکتا کوشش کامیاب ہو جائے تب بھی
بد نصیب انسان ناکام ہو جاتا ہے
Jab tak koshish ki mehroomiyan
samajh mein na aayen naseeb ko
nahin samjha ja sakta. Koshish
kamiyab ho jaye tab bhi bad naseeb
insaan nakaam ho jata hai
اختلاف میں اتنی گنجائش رکھیں کہ
کہیں اچانک ملاقات کے وقت آنکھیں
ملانے میں شرمندگی محسوس نہ ہو
Ikhtilaf mein itni gunjaish rakhen ke
kahin achanak mulaqat ke waqt
aankhein milane mein sharmindagi
mehsoos na ho
اگر اخلاق میں سے خدا کے تصور
کو نکال دیا جائے تو تنہائی میں کیے
گئے جرم جرم ہی نہیں رہیں گے
Agar ikhlaq mein se Khuda ke
tasavvur ko nikaal diya jaye to
tanhaai mein kiye gaye jurm jurm
hi nahin rahenge
تم پر لازم ہے تم اس وقت ہنسنا
سیکھو جب تمام لوگ تم سے رونے
کی امید لگائے بیٹھے ہوں
Tum par lazim hai tum us waqt
hansna seekho jab tamaam log
tum se rone ki umeed lagaye baithe
hon
رشوت کے پیسوں سے اگر حج کیا
جائے تو یہ اللہ کے احکام کی خلاف
ورزی ہی نہیں اس کے نظام کے خلاف
بغاوت ہیں
Rishwat ke paison se agar haj kiya
jaye to yeh Allah ke ehkaam ki khilaf
warzi hi nahin, is ke nizaam ke khilaf baghawat hai
بے بس انسان کا سجدہ ہی بے بسی کا
علاج ہے بے رنگ زمین میں ہم بے رنگ
بیج بوتے ہیں اور پھر کچھ ہی عرصے
بعد اس سے رنگ رنگ کے پھول کھلتے ہیں
Bebas insaan ka sajda hi bebasi ka
ilaj hai. Be rang zameen mein hum be
rang beej bote hain aur phir kuch hi
arsay baad is se rang rang ke phool
khilte hain
جو ڈرا رہا ہوتا ہے درحقیقت وہ
خود ہی ڈرا ہوا ہوتا ہے
Jo dara raha hota hai darasal
woh khud hi dara hota hai
تین چیزیں انسان کو اللہ سے دور کرتی
ہیں انسان کا اپنے اعمال کو زیادہ سمجھنا
اپنے گناہوں کو بھول جانا اپنے اپ کو سب
سے بہتر سمجھنا
Teen cheezen insaan ko Allah se
door karti hain: insaan ka apne
aamal ko zyada samajhna, apne
gunahon ko bhool jana, apne aap
ko sab se behtar samajhna
مرد ظالم ہوتا ہے حاکم ہوتا ہے ایسے
کتنے ہی جملے مردوں کے خلاف آسانی
سے کہہ دیا جاتے ہیں کبھی سوچا ہے
وہ کتنی مشقت کر کے عورت کو معاشرے
کی سرد گرم سے بچاتا ہے قدر کریں اس کی
جس کی وجہ سے آپ آسائش کی زندگی
گزار رہی ہیں سب مرد ایک جیسے نہیں ہوتے
Mard zaalim hota hai, haakim hota hai
aise kitne hi jumlay mardon ke khilaf
aasani se keh diye jate hain. Kabhi
socha hai woh kitni mashakkat kar
ke aurat ko muashray ki sard garam
se bachata hai. Qadar karein uski jiski
wajah se aap aaraam ki zindagi guzar
rahi hain. Sab mard ek jaise nahin hote
Islamic Quotes in Urdu
منزل انسان کے حوصلے آزماتی ہے جھوٹے پردے
آنکھوں سے ہٹاتی ہے کسی بھی چیز سے ہمت
مت ہارنا کیونکہ ٹھوکر ہی انسان کو چلنا
سکھاتی ہے
Manzil insaan ke hoslay aazmati hai
jhootay parde aankhon se hatati hai
Kisi bhi cheez se himmat mat haarna
kyunki thokar hi insaan ko chalna sikhati
hai
دعاؤں سے فوراً معجزے نہیں ہوتے دعائیں
آہستہ آہستہ تمہارے لئے اسباب بناتی ہیں اور
پھر تمھیں اس مقام تک لے جاتی ہیں جہاں
معجزے ہونے ہوتے ہے جہاں تمہارے یقین کے
سامنے تمہارا نصیب گھنٹے ٹیک دیتا ہے
Duawon se foran mo’jze nahin hote
Duayein aahista aahista tumhare liye
asbaab banati hain aur phir tumhe us
maqam tak le jati hain jahan mo’jze hone
hote hain, jahan tumhare yaqeen ke
samne tumhara naseeb ghoontay tek
deta hai
آپ کی ہر ہاں میں ہاں ملانے والا شخص
مخلص نہیں چاپلوس ہوتا ہے
Aap ki har haan mein haan milane
wala shakhs mukhlis nahin, chaploos
hota hai
جس انسان نے درویشی اور عاجزی کو چنا
وہ قیامت کے روز اللہ تعالی کے سامنے سرخرو
ہو گا
Jis insaan ne darveshi aur aajzi ko
chuna woh qayamat ke roz Allah
Ta’ala ke samne sarakhro hoga
اولیاء کے لیے کرامت اضطراب ہے کرامتیں
دو قسم کی ہیں اختیاری اور اضطراری
Auliya ke liye karaamat iztirab
hai karaamatain do qism ki hain
ikhtiari aur iztirari
کتنا ہی خوبصورت احساس ہے کہ جب ہم
اللہ سے دل کی بات کہتے ہیں تو وہ سب کچھ
جانتے ہوئے بھی ہماری بات سننا چاہتا ہے
Kitna hi khoobsurat ehsaas hai ke jab
hum Allah se dil ki baat kehte hain to
woh sab kuch jaanate hue bhi humari
baat sunna chahta hai
جس سچائی کو آپ حرفِ آخر سمجھ کر
گھر سے نکلتے ہیں وہ آخری اور حتمی سچائی
نہیں ہے اُس کے سوا اور بھی سچ ہیں آپ ہی
کی محبت آخری محبت نہیں اور نہ ہی آپ
کے دُکھ آخری دُکھ ہیں ان کے سوا بھی محبت
اور دُکھ ہیں اور یہ کہ آفاقی سلطنت میں
ہماری کچھ حیثیت نہیں ہے ایک ذرہ بھی تم
سے کہیں بڑھ کر حیثیت والا ہے کہ اُس نے
قائم رہنا ہے اور تم نے فنا ہو جانا ہے
Jis sachai ko aap harf-e-aakhir samajh
kar ghar se nikalte hain woh aakhri aur
hatmi sachai nahin hai. Us ke siwa aur
bhi sach hain. Aap hi ki mohabbat
aakhri mohabbat nahin aur na hi aap ke
dukh aakhri dukh hain. In ke siwa bhi mohabbat aur dukh hain aur yeh ke
aafaqi saltnat mein hamari kuch haisiyat nahin hai. Ek zarrah bhi tum se kahin
barh kar haisiyat wala hai ke us ne
qaim rehna hai aur tum ne fana ho jana
hai
ضروری تو نہیں کہ آپ ان لوگوں کے لیے
اداس رہیں جنہیں آپ کی پرواہ نہیں آپ ان
لوگوں کے لیے خوش بھی تو رہ سکتے ہیں
جو آپ کی فکر کرتے ہیں
Zaroori to nahin ke aap un logon ke
liye udaas rahen jinhen aap ki parwaah
nahin. Aap un logon ke liye khush bhi
to rah sakte hain jo aap ki fikr karte
hain
جب تم میں روح پھونکی جاتی ہے تو تم اک
عورت کے رحم میں ہوتے ہو جب روتے ہو تو اک
عورت کی بانہوں میں ہوتے ہو عشق میں مبتلا
ہوتے ہو تو اک عورت کے دل میں ہوتے ہو اس
لیے اس سے اچھی طرح پیش آؤ
Jab tum mein rooh phoonki jati hai to
tum ek aurat ke reham mein hote ho
Jab rote ho to ek aurat ki baahon mein
hote ho. Ishq mein mubtala hote ho to
ek aurat ke dil mein hote ho. Is liye us se
achhi tarah pesh aao
Islamic Quotes in Urdu
انسان جلد باز ہے جب کوئی مصیبت آتی ہے
تو گھبرا کر چیخنے لگتا ہے اور جب اس سے
نجات مل جاتی ہے تو وہ ان سنگین لمحات
اور پر آشوب حالات کی ہولناکیوں کو
فراموش کر دیتا ہے
Insaan jaldi baaz hai jab koi museebat
aati hai to ghabra kar cheekhne lagta
hai aur jab us se nijaat mil jati hai to
woh un sangeen lamhat aur pur ashoob haalaat ki holnaakiyon ko faramosh kar
deta hai
کبھی کبھی خاموش رہنا بہتر ہے بجائے اس
کے کہ آپ لوگوں کو بتائیں کہ آپ کیسا
محسوس کر رہے ہیں
Kabhi kabhi khamosh rehna behtar
hai bajae is ke ke aap logon ko bataen
ke aap kaisa mehsoos kar rahe hain
کسی نے مولانا رومی سے پوچھا کہ میرا
دل تو بہت چھوٹا ہے اور دنیا کا غم بہت
بڑا ہے اسے میں اپنے دل میں کیسے سما
سکتا ہوں مولانا نے کہا تمہاری آنکھیں بھی
تو بہت چھوٹی ہیں وہ تو ساری دنیا
سما لیتی ہیں
Kisi ne Maulana Rumi se poocha ke
mera dil to bohat chhota hai aur
duniya ka gham bohat bara hai, ise
main apne dil mein kaise sama sakta
hoon. Maulana ne kaha tumhari
aankhein bhi to bohat chhoti hain
woh to saari duniya sama leti hain
کسی دوسرے شخص کو عورت کو موم یا
پتھر کا خطاب دینے کا حق نہیں ہوتا وہ
خود چاہے تو محبوب کے اشاروں کی سمت
مڑتی رہتی ہے اور پتھر بننے کا فیصلہ کر لے
تو کوئی شخص بھکاری بن کر بھی اُس کی
ایک نگاہ التفات نہیں پا سکتا
Kisi doosre shakhs ko aurat ko mom
ya pathar ka khitaab dene ka haq
nahin hota. Woh khud chahe to
mehboob ke isharon ki simt murrti
rahti hai aur pathar banne ka faisla
kar le to koi shakhs bhikari ban kar
bhi us ki ek nigah e iltifaat nahin
paa sakta
زندگی اگر کبھی مہربان ہو کر کسی شخص
کے انتخاب کا موقع دے تو اپنے لیے ہمیشہ
ایک ذمہ دار شخص کا انتخاب کریں کیوںکہ
ایک ذمہ دار انسان خوب صورت انسان ہونے
سے کہیں بہتر ہوتا ہے یہ محبت وحبت سب
قصے کہانیوں میں اچھے لگتے ہیں جب زندگی
کی تلخ حقیقتوں سے پالا پڑتا ہے ناں تو یہ
محبت سب سے پہلے گھر کی کھڑکیوں اور
روشن دانوں سے بھاگتی ہے حقیقتیں بڑی
دل خراش ہوتی ہیں
Zindagi agar kabhi mehrban ho kar kisi shakhs ke intekhab
ka mauka de to apne liye hamesha aik zimmedar shakhs ka intekhab karein kyunkay aik zimmedar insaan khoobsurat insaan hone se kahin behtar hota hai. Yeh mohabbat wahabbat sab qisse kahaniyon mein achay lagte hain. Jab zindagi ki talakh haqeeqaton se pala padta hai na, to yeh mohabbat sabse pehle ghar ki khidkiyon aur roshan danon se bhaagti hai. Haqeeqatain badi dil kharash hoti hain.
One Comment on “Islamic Quotes in Urdu, Best Sufi Quotes”