10 Best Sad Gazals in Urdu
If you are looking for Sad Gazals in Urdu, then you are at right post. I have collected 10 Best Sad Gazals in Urdu for you for those who love to read poetry or gazals. Many heart broken people search on Google for Sad gazals if you are one of them so I am here to serve you best poetry, gazals from urdu literature.
کبھی یہ دعا کہ وہ میرا ہے فقط میرا
کبھی یہ ڈر کہ وہ مجھ سے جدا تو نہیں
کبھی یہ دعا کہ اسے مل جائیں سارے جہاں کی خوشیاں کبھی یہ خوف کہ وہ خوش میرے بنا تو نہیں
کبھی یہ تمنا کہ بس جاؤں اسکی نگاہوں میں
کبھی یہ ڈر کہ اسکی نگاہوں کو کسی نے دیکھا تو نہیں
کبھی یہ خواہش کے زمانہ ہو منتظر اس کا
کبھی یہ وہم کہ وہ کسی سے ملا تو نہیں
کبھی یہ آرزو کہ وہ جو مانگے مل جائے اسے محسن
کبھی یہ وسوسہ کہ اس نے میرے سوا کچھ مانگا تو نہیں
Kabhi yeh dua ke woh mera hai faqat mera
Kabhi yeh darr ke woh mujh se juda to nahi
Kabhi yeh dua ke usay mil jayein saare jahan ki khushiyan
Kabhi yeh khauf ke woh khush mere bina to nahi
Kabhi yeh tamanna ke bas jaaon uski nigahon mein
Kabhi yeh darr ke uski nigahon ko kisi ne dekha to nahi
Kabhi yeh khwahish ke zamana ho muntazir uska
Kabhi yeh wahm ke woh kisi se mila to nahi
Kabhi yeh aarzu ke woh jo maange mil jaye usay Mohsin
Kabhi yeh waswasa ke us ne mere siwa kuch manga to nahi
Sad Gazal in Urdu
یاد آوں تو بس اتنی سی عنایت کرنا
اپنے بدلے ہوئے لہجے کی وضاحت کرنا
تم تو چاہت کا شاہکار ہوا کرتے تھے
کس سے سیکھا ہے الفت میں ملاوٹ کرنا
ہم سزاوں کے حق دار بنے ہیں کب سے
تم ہی کہہ دو کہ جرم ہے کیا محبت کرنا؟
تیری فرقت میں یہ آنکھیں ابھی تک نم ہیں
کبھی آنا میری آنکھوں کی زیارت کرنا
Yad aaoon to bas itni si inayat karna
Apne badle hue lehje ki wazahat karna
Tum to chahat ka shahkar hua karte thay
Kis se seekha hai ulfat mein milawat karna
Hum sazaon ke haqdar bane hain kab se
Tum hi keh do ke jurm hai kya mohabbat karna?
Teri furqat mein yeh aankhein abhi tak nam hain
Kabhi aana meri aankhon ki ziarat karna
Best Urdu Gazal
کسی جھوٹی وفا سے دل کو بہلانا نہیں آتا
مجھے گھر کاغذی پھولوں سے مہکانا نہیں آتا
میں جو کچھ ہوں وہی ظاہر وہی باطن
مجھے جھوٹے در و دیوار کو چمکانا نہیں آتا
میں دریا ہوں مگر بہتا ہوں میں کہسار کی جانب
مجھے دنیا کی پستی میں اتر جانا نہیں آتا
زر و مال و جواہر لے بھی ٹھکرا بھی سکتا ہوں
کوئی دل پیش کرتا ہو تو ٹھکرانا نہیں آتا
پرنده جانب دانہ ہمیشہ اڑ کے آتا ہے
پرندے کی طرف اڑ کر کبھی دانہ نہیں آتا
اگر صحرا میں ہیں تو آپ خود آئے ہیں صحرا میں
کسی کے گھر تو چل کر کوئی ویرانہ نہیں آتا
Kisi jhooti wafa se dil ko behlana nahi aata
Mujhe ghar kagazi phoolon se mehkaana nahi aata
Main jo kuch hoon wahi zahir wahi batin
Mujhe jhoote dar o deewar ko chamkaana nahi aata
Main darya hoon magar behta hoon main kahsar ki janib
Mujhe duniya ki pasti mein utar jana nahi aata
Zar o maal o jawahir le bhi thukra bhi sakta hoon
Koi dil paish karta ho to thukrana nahi aata
Parinda janib dana hamesha ur ke aata hai
Parinday ki taraf ur kar kabhi dana nahi aata
Agar sahra mein hain to aap khud aaye hain sahra mein
Kisi ke ghar to chal kar koi weerana nahi aata
Heart Touching Gazal
چلو اب ایسا کرتے ہیں ستارے بانٹ لیتے ہیں
ضرورت کے مطابق ہم سہارے بانٹ لیتے ہیں
محبت کرنے والوں کی تجارت بھی انوکھی ہے
منافع چھوڑ دیتے ہیں خسارے بانٹ لیتے ہیں
اگر ملنا نہیں ممکن تو لہروں پر قدم رکھ کر
ابھی دریائے الفت کے کنارے بانٹ لیتے ہیں
میری جھولی میں جتنے بھی وفا کے پھول ہیں
ان کو اکٹھے بیٹھ کر سارے کے سارے بانٹ لیتے ہیں
محبت کے علاوہ پاس اپنے کچھ نہیں ہے فیض
اسی دولت کو ہم قسمت کے مارے بانٹ لیتے ہیں
Chalo ab aisa karte hain sitare baant lete hain
Zaroorat ke mutabiq hum sahare baant lete hain
Mohabbat karne walon ki tijarat bhi anokhi hai
Munaafa chhor dete hain khassare baant lete hain
Agar milna nahi mumkin to lehron par qadam rakh kar
Abhi darya-e-ulfat ke kinare baant lete hain
Meri jholi mein jitne bhi wafa ke phool hain
Unko ikatthe baith kar saare ke saare baant lete hain
Mohabbat ke ilawa paas apne kuch nahi hai Faiz
Isi daulat ko hum kismat ke mare baant lete hain
If you are still reading 10 best gazals in Urdu I hope this sad Gazal will make you cry for your beloved.
حقیقت جان کر ایسی حماقت کون کرتا ہے
بھلا بے فیض لوگوں سے محبت کون کرتا ہے
بتاؤ جس تجارت میں خسارا ہی خسارا ہو
بنا سوچے خسارے کی تجارت کون کرتا ہے
ہمیں ہی غلط فہمی تھی کسی کے واسطے ورنہ
زمانے کے رواجوں سے بغاوت کون کرتا ہے
خدا نے صبر کرنے کی مجھے توفیق بخشی ہے
ارے جی بھر کے تڑپاؤ شکایت کون کرتا ہے
کسی کے دل کے زخموں پر مرہم رکھنا ضروری ہے
مگر اس دور میں ہمدم یہ زحمت کون کرتا ہے
Haqeeqat jaan kar aisi himaqat kaun karta hai
Bhalla befaiz logon se mohabbat kaun karta hai
Batao jis tijarat mein khassara hi khassara ho
Bina soche khassare ki tijarat kaun karta hai
Humein hi ghalat fehmi thi kisi ke wastay warna
Zamane ke rawajon se baghawat kaun karta hai
Khuda ne sabr karne ki mujhe tawfeeq bakshi hai
Aray jee bhar ke tadpaao shikayat kaun karta hai
Kisi ke dil ke zakhmon par marham rakhna zaroori hai
Magar is daur mein hamdam yeh zehmat kaun karta hai
Love Gazal in Urdu
وہ جذبوں کی تجارت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
اسے ہنثنے کی عادت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
مجھے اس نے کہا آؤ نئی دنیا بساتے ہیں
اسے سوجھی شرارت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
ہمیشہ اسکی آنکھوں میں دھنک سے رنگ ہوتے تھے
یہ اسکی عام حالت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
وہ میرے پاس بیٹھا دیر تک غزلیں میری سنتا
اسے خود سے محبت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
میرے کاندھے پہ سر رکھ کے کہیں پر یہ کھو گیا تھا وہ
یہ اک وقتی عنائیت تھی یہ دل کچھ اور سمجھا تھا
Woh jazbon ki tijarat thi yeh dil kuch aur samjha tha
Usay hansne ki aadat thi yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhe us ne kaha aao naye duniya basaate hain
Usay soojhi shararat thi yeh dil kuch aur samjha tha
Hamesha uski aankhon mein dhanak se rang hote thay
Yeh uski aam haalat thi yeh dil kuch aur samjha tha
Woh mere paas baitha der tak ghazlein meri sunta
Usay khud se mohabbat thi yeh dil kuch aur samjha tha
Mere kandhay pe sar rakh ke kahin par yeh kho gaya tha woh
Yeh ek waqti inayat thi yeh dil kuch aur samjha tha
Sad Gazal in Urdu
میرے لیے تو حرف دعا ہو گیا وہ شخص
سارے دکھوں کی جیسے دوا ہو گیا وہ شخص
میں آسماں پہ تھا تو زمیں کی کشش تھا وہ
اترا زمین پر تو ہوا ہو گیا وہ شخص
سوچوں بھی اب اسے تو تخیل کے پر جلیں
مجھ سے جدا ہوا تو خدا ہو گیا وہ شخص
سب اشک پی گیا مرے اندر کا آدمی
میں خشک ہو گیا ہوں ہرا ہو گیا وہ شخص
یوں بھی نہیں کہ پاس ہے میرے وہ ہم نفس
یہ بھی غلط کہ مجھ سے جدا ہو گیا وہ شخص
پڑھتا تھا میں نماز سمجھ کر اسے
پھر یوں ہوا کہ مجھ سے قضا ہو ہو گیا وہ شخص
Mere liye to harf-e-dua ho gaya woh shakhs
Saare dukhon ki jaise dawa ho gaya woh shakhs
Main aasmaan pe tha to zameen ki kashish tha woh
Utra zameen par to hawa ho gaya woh shakhs
Sochon bhi ab usay to takhayul ke par jalein
Mujh se juda hua to Khuda ho gaya woh shakhs
Sab ashk pi gaya mere andar ka aadmi
Main khushk ho gaya hoon hara ho gaya woh shakhs
Yoon bhi nahi ke paas hai mere woh hum nafas
Yeh bhi ghalat ke mujh se juda ho gaya woh shakhs
آنکھوں میں رہا دل میں اتر کر نہیں دیکھا
کشتی کے مسافر نے سمندر نہیں دیکھا
بے وقت اگر جاؤں گا سب چونک پڑیں گے
اک عمر ہوئی دن میں کبھی گھر نہیں دیکھا
جس دن سے چلا ہوں میری منزل پہ نظر ہے
آنکھوں نے کبھی میل کا پتھر نہیں دیکھا
یہ پھول مجھے کوئی وراثت میں ملے ہیں
تم نے مرا کانٹوں بھرا بستر نہیں دیکھا
یاروں کی محبت کا یقیں کر لیا میں نے
پھولوں میں چھپایا ہوا خنجر نہیں دیکھا
محبوب کا گھر ہو کہ بزرگوں کی زمینیں
جو چھوڑ دیا پھر اسے مڑ کر نہیں دیکھا
خط ایسا لکھا ہے کہ نگینے سے جڑے ہیں
وہ ہاتھ کہ جس نے کوئی زیور نہیں دیکھا
پتھر مجھے کہتا ہے میرا چاہنے والا
میں موم ہوں اس نے مجھے چھو کر نہیں دیکھا
Aankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha
Be-waqt agar jaoon ga sab chonk parenge
Ek umr hui din mein kabhi ghar nahi dekha
Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
Aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha
Yeh phool mujhe koi virasat mein mile hain
Tum ne mera kanton bhara bistar nahi dekha
Yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine
Phoolon mein chhupaya hua khanjar nahi dekha
Mahboob ka ghar ho ke buzurgon ki zameenain
Jo chhor diya phir usay mud kar nahi dekha
Khat aisa likha hai ke nageene se jure hain
Woh haath ke jis ne koi zewar nahi dekha
Pathar mujhe kehta hai mera chahne wala
Main mom hoon us ne mujhe chhoo kar nahi dekha
One Comment on “10 Best Sad Gazals in Urdu”