5 Most Beautiful Gazals in Urdu

5 Most Beautiful Gazals in Urdu

5 Most Beautiful Gazals in Urdu 

If you are looking for gazals, love gazal or sad gazal in Urdu then you are at right post I have collected 5 most beautiful gazals in Urdu of different poets for you.

The most beautiful subject in Urdu language is ghazal, in ghazal the poet expresses his feelings in the form of poems. By reading these 5 most beautiful ghazals in urdu you can understand the breadth of Urdu poetry.

 

5 Most Beautiful Gazals in Urdu 5 Most Beautiful Gazals in Urdu

میری روح میں جو اتر سکیں وہ محبتیں مجھے چاہئیں

جو سراب ہوں نہ عذاب ہوں وہ رفاقتیں مجھے چاہئیں

انہی ساعتوں کی تلاش ہے جو کیلنڈروں سے اتر گئیں

جو سمے کے ساتھ گزر گئیں وہی فرصتیں مجھے چاہئیں

کہیں مل سکیں تو سمیٹ لا میرے روز و شب کی کہانیاں

جو غبار وقت میں چھپ گئیں۔ وہ حکابتیں مجھے چاہئیں

جو میری شبوں کے چراغ تھے جو مبری امید کے باغ تھے

وہی لوگ ہیں میری آرزو وہی صورتیں مجھے چاہئیں

تیری قربتیں نہیں چاہئیں میری شاعری کے مزاج کو

مجھے فاصلوں سے دوام دے تیری فرقتیں مجھے چاہئیں

مجھے اور کچھ نہیں چاہئیے یہ دعائیں ہیں میری سائباں

کڑی دھوپ میں کہیں مل سکیں تو یہ چھتیں مجھے چاہئیں

Meri rooh mein jo utar sakain woh muhabbatein mujhe chahiyein

Jo saraab hon na azaab hon woh rafaquatein mujhe chahiyein

Inhi sa’aton ki talaash hai jo calenderon se utar gayin

Jo samay ke sath guzar gayin wohi fursatein mujhe chahiyein

Kahin mil sakein to samet la mere roz o shab ki kahaniyaan

Jo ghubar-e-waqt mein chhup gayin, woh hikayatein mujhe chahiyein

Jo meri shabon ke charagh the jo meri umeed ke bagh the

Wohi log hain meri arzo wohi suratain mujhe chahiyein

Teri qurbatein nahi chahiyein meri shairi ke mizaaj ko

Mujhe faaslon se dawaam de teri furqatein mujhe chahiyein

Mujhe aur kuch nahi chahiye yeh duayen hain meri saiban

Kari dhoop mein kahin mil sakein to yeh chhatein mujhe chahiyein

Read sad poetry in Urdu

کچھ تصویریں کمرے سے ہٹانے نہیں دیتی

کچھ دن جوانی کے میں جانے نہیں دیتی

آنچل اڑتا ہے جھوم کر ہواؤں میں میرا

سیاہ بادل شانوں سے میں اڑانے نہیں دیتی

بانہوں میں گجرے موتیا کے زلف میں گلاب

خزاں کو اپنے قریب میں آنے نہیں دیتی

آنکھوں میں کاجل پسند نہیں تھا مجھے

چاہت کے ڈورے میں سیاہی ملانے نہیں دیتی

لبوں پر میرے شرارت بھری ہے اک مسکان

بات دل کی بھی لبوں کو بتانے نہیں دیتی

رنگیں تیلیاں اڑتی ہیں  میرے اردگرد وفا

یادوں کی یہ تتلیاں میں جانے نہیں دیتی

شاعرہ وفا

Kuch tasveerein kamray se hatane nahi deti

Kuch din jawani ke main jane nahi deti

Aanchal urta hai jhoom kar hawaon mein mera

Siyah badal shanon se main urane nahi deti

Banhon mein gajray motiya ke zulf mein gulaab

Khizan ko apne qareeb main ane nahi deti

Aankhon mein kajal pasand nahi tha mujhe

Chahat ke dore mein siyahi milane nahi deti

Labon par mere sharaarat bhari hai ik muskan

Baat dil ki bhi labon ko batane nahi deti

Rangeen tiliyan urti hain mere irad gird wafa

Yaadon ki yeh titliyaan main jane nahi deti

Shaira Wafa

5 Most Beautiful Gazals in Urdu 5 Most Beautiful Gazals in Urdu 

وعدہِ حور پہ بہلائے ہوئے لوگ ہیں ہم

خاک بولیں گے کہ دفنائے ہوئے لوگ ہیں ہم

یوں ہر ایک ظلم پہ دم سادھے کھڑے ہیں

جیسے دیوار میں چنوائے ہوئے لوگ ہیں ہم

اس کی ہر بات پہ لبیک بھلا کیوں نہ کہیں

زر کی جھنکار پہ بلوائے ہوئے لوگ ہیں ہم

جس کا جی چاہے وہ انگلی پہ نچا لیتا ہے

جیسے بازار سے منگوائے ہوئے لوگ ہیں ہم

ہنسی آئے بھی تو ہنستے ہوئے ڈر لگتا ہے

زندگی یوں تیرے زخمائے ہوئے لوگ ہیں ہم

آسمان اپنا، زمیں اپنی، نہ سانس اپنی تو پھر

جانے کس بات پہ اترائے ہوئے لوگ ہیں ہم

جس طرح چاہے بنا لے ہمیں وقت قتیل

درد کی آنچ پہ پگھلائے ہوئے لوگ ہیں ہم

  قتیل شفائی

Wa’da-e-hur pe behlaaye hue log hain hum

Khaak bolenge ke dafnaaye hue log hain hum

Yun har ek zulm pe dam sadhe khare hain

Jaise deewar mein chunwaye hue log hain hum

Us ki har baat pe labbaik bhala kyu na kahen

Zar ki jhankar pe bulwaye hue log hain hum

Jis ka ji chahe woh ungli pe nacha leta hai

Jaise bazaar se mungwaye hue log hain hum

Hansi aaye bhi to hanste hue dar lagta hai

Zindagi yun tere zakhmaye hue log hain hum

Aasman apna, zameen apni, na saans apni to phir

Jane kis baat pe utaraye hue log hain hum

Jis tarah chahe bana le humein waqt Qateel

Dard ki aanch pe pighlaye hue log hain hum

Qateel Shifai

5 Most Beautiful Gazals in Urdu 5 Most Beautiful Gazals in Urdu 

اپنی الجھن کو بڑھانے کی ضرورت کیا ہے

چھوڑنا ہے  تو  بہانے کی  ضرورت  کیا ہے

لگ چکی آگ  تو  لازم ہے  دھواں  اٹھے گا

درد کو دل میں چھپانے کی ضرورت کیا ہے

عمر بھر رہنا ہے  تعبیر سے  گر  دور تمہیں

پھر مرے خواب میں آنے کی ضرورت کیا ہے

اجنبی رنگ چھلکتا ہو  اگر  آنکھوں  سے

ان سے پھر ہاتھ ملانے کی ضرورت کیا ہے

آج بیٹھے ہیں ترے  پاس کئی دوست  نئے

اب تجھے دوست پرانے کی ضرورت کیا ہے

ساتھ رہتے ہو  مگر  ساتھ  نہیں رہتے ہو

ایسے رشتے کو نبھانے کی ضرورت کیا ہے

Apni uljhan ko barhane ki zarurat kya hai

Chhodna hai to bahaane ki zarurat kya hai

Lag chuki aag to lazim hai dhuaan uthega

Dard ko dil mein chhupane ki zarurat kya hai

Umar bhar rehna hai tabeer se gar door tumhe

Phir mere khwab mein ane ki zarurat kya hai

Ajnabi rang chhalakta ho agar aankhon se

In se phir haath milane ki zarurat kya hai

Aaj baithe hain tere paas kai dost naye

Ab tujhe dost purane ki zarurat kya hai

Saath rehte ho magar saath nahi rehte ho

Aise rishte ko nibhane ki zarurat kya hai

5 Most Beautiful Gazals in Urdu 5 Most Beautiful Gazals in Urdu 

سلیقے سے اگر توڑیں تو کانٹے ٹوٹ جاتے ہے

مگر افسوس یہ ہے پھول پہلے ٹوٹ جاتے ہے

محبت بوجھ بن کر ہی بھلے رہتی ہو کاندھوں پر

مگر یہ بوجھ ہٹتا ہے تو کاندھے ٹوٹ جاتے ہیں

بچھڑ کر آپ سے یہ تجربہ ہو ہی گیا آخر

میں اکثر سوچتا تھا لوگ کیسے ٹوٹ جاتے ہے

مری اوقات ہی کیا ہے میں اک ننھا سا آنسو ہوں

بلندی سے تو گر کر اچھے اچھے ٹوٹ جاتے ہیں

بہت دن مصلحت کی قید میں رہتے نہیں جذبے

محبت جب صدا دیتی ہے پنجرے ٹوٹ جاتے ہیں

زیادہ کامیابی بھی بہت نقصان دیتی ہے

پھلوں کا بوجھ بڑھنے سے بھی پودے ٹوٹ جاتے ہے

ستم یہ ہے میں اس رستے پہ ننگے پیر چلتا ہوں

جہاں چلتے ہوئے لوگوں کے جوتے ٹوٹ جاتے ہے

Saleeqe se agar toren to kaante toot jate hain

Magar afsos yeh hai phool pehle toot jate hain

Mohabbat bojh ban kar hi bhale rehti ho kandhon par

Magar yeh bojh htta hai to kandhe toot jate hain

Bichhad kar aap se yeh tajurba ho hi gaya aakhir

Main aksar sochta tha log kaise toot jate hain

Meri auqaat hi kya hai main ik nanha sa aansu hoon

Bulandi se to gir kar achay achay toot jate hain

Bohat din maslihat ki qaid mein rehte nahi jazbe

Mohabbat jab sada deti hai pinjre toot jate hain

Zyada kamiyabi bhi bohat nuqsan deti hai

Phalon ka bojh barhne se bhi poday toot jate hain

Qateel Shifai

مانا کہ تیرے دل میں کوئی اور مکیں ہے

تو پھر بھی میرا دل ہے عقیدہ ہے یقیں ہے

یہ آئینے تجھے تیری خبر دے نہ سکیں گے

آ دیکھ میری آنکھ سے تُو کتنا حسیں ہے

میں جبر کے سجدوں سے کہیں ٹوٹ نہ جاؤں

پتھر کے خداؤ میری شیشے کی جبیں ہے

پلکوں سے تراشا تھا کبھی ہم نے جو ہیرا

مت پوچھ اب وہ کس کی انگوٹھی کا نگیں ہے

محسن نقوی

Mana ke tere dil mein koi aur makeen hai

Toh phir bhi mera dil hai aqeeda hai yaqeen hai

Yeh aai’ne tujhe teri khabar de na sakenge

Aa dekh meri aankh se tu kitna haseen hai

Main jabr ke sajdon se kahin toot na jaaoon

Patthar ke khudaon meri sheeshe ki jabeen hai

Palkon se tarasha tha kabhi hum ne jo heera

Mat pooch ab woh kis ki anguthi ka nageen hai

Mohsin Naqvi

2 Comments on “5 Most Beautiful Gazals in Urdu”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *